zabt apnā shi.ār thā na rahā
dil pe kuchh iḳhtiyār thā na rahā
dil-e-marhūm ko ḳhudā baḳhshe
ek hī ġham-gusār thā na rahā
aa ki vaqt-e-sukūn-e-marg aayā
naala nā-ḳhush-gavār thā na rahā
un kī be-mehriyoñ ko kyā mālūm
koī ummīd-vār thā na rahā
aah kā e'tibār bhī kab tak
aah kā e'tibār thā na rahā
kuchh zamāne ko sāzgār sahī
jo hameñ sāzgār thā na rahā
ab garebāñ kahīñ se chaak nahīñ
shuġhl-e-fasl-e-bahār thā na rahā
maut kā intizār baaqī hai
aap kā intizār thā na rahā
mehrbāñ ye mazār-e-'fānī' hai
aap kā jāñ-nisār thā na rahā