Nazeer Akbarabadi

tujhe kuchh bhi KHuda ka tars hai ai sang-dil tarsa

Nazeer Akbarabadi

Delhi, India

1735-1830
tujhe kuchh bhī ḳhudā kā tars hai ai sañg-dil tarsā
hamārā dil bahut tarsā are tarsā na ab tarsā
maiñ us par mubtalā vo ġhair maz.hab shoḳh ab tarsā
qayāmat hai musalmāñ āshiq aur ma.ashūq hai tarsā
faqat tīr-e-nigah se to na dil kī aarzū niklī
tire qurbāñ lagā ab ke koī is se bhī behtar sā
na jā.ūñ maiñ to us ke paas lekin kyā karūñ yaaro
yakāyak kuchh jigar meñ aa ke lag jaatā hai nashtar sā
pukārā duur se de kar safīr us ne to kyā merā
dhaḌak kar yak-ba-yak siine meñ dil loTā kabūtar sā
huā bīmār tere ishq meñ jo charḳh-e-chārum par
masīhā paḌh rahā hai kuchh bichhā kar apnā bistar sā
'nazīr' ik do gile karne bahut hote haiñ ḳhūbāñ se
chalo ab chup raho bas khol baiThe tum to daftar sā
Top Urdushayar.com