Nazeer Akbarabadi

udhar uski nigah ka naz se aa kar palaT jaana

Nazeer Akbarabadi

Delhi, India

1735-1830
udhar us kī nigah kā naaz se aa kar palaT jaanā
idhar marnā taḌapnā ġhash meñ aanā dam ulaT jaanā
kahūñ kyā kyā maiñ naqshe us kī nāgin zulf ke yaaro
lipaTnā uḌ ke aanā kaaT khānā phir palaT jaanā
agar milne kī dhun rakhnā to is tarkīb se milnā
saraknā duur haTnā bhāgnā aur phir lipaT jaanā
na milne kā irāda ho to ye ayyāriyāñ dekho
humaknā aage baḌhnā paas aanā aur haT jaanā
ye kuchh bahrūp-pan dekho ki ban kar shakl daane kī
bikharnā sabz honā lahlahānā phir simaT jaanā
ye yaktā.ī ye yak-rañgī tis uupar ye qayāmat hai
na kam honā na baḌhnā aur hazāroñ ghaT meñ baT jaanā
'nazīr' aisā jo chanchal dilrubā bahrūpiyā hove
tamāshā hai phir aise shoḳh se saude kā paT jaanā
Top Urdushayar.com