huuñ tere tasavvur meñ mirī jaañ hama-tan-chashm
dil hai mirā juuñ ā.īna hairāñ hama-tan-chashm
tā ek nazar dekhe tujhe ai mah-e-tābāñ
rahtā hai sadā mahr-e-daraḳhshāñ hama-tan-chashm
āñkhoñ ko male taaki tire paañv ke nīche
har naqsh-e-qadam se hai bayābāñ hama-tan-chashm
dīvāngī merī ke tahayyur meñ shab-o-roz
hai halqa-e-zanjīr se zindāñ hama-tan-chashm
us ā.īna-rū ke hai tasavvur meñ 'nazīr' ab
hairat-zada nazzāra pareshāñ hama-tan-chashm