na lazzateñ haiñ vo hañsne meñ aur na rone meñ
jo kuchh mazā hai tire saath mil ke sone meñ
palañg pe sej bichhātā huuñ muddatoñ se jaan
kabhī tū aan ke so jā mire bichhaune meñ
masak ga.ī hai vo añgiyā jo tañg bañdhne se
to kyā bahār hai kāfir ke chaak hone meñ
kahā maiñ us se ki ik baat mujh ko kahnī hai
kahūñ maiñ jab ki chalo mere saath kone meñ
ye baat sunte hī jī meñ samajh ga.ī kāfir
ki terā dil hai kuchh ab aur baat hone meñ
ye sun ke bolī ki hai hai ye kyā kahā tū ne
paḌā hai kyuuñ mujhe duniyā se ab tū khone meñ
to būḌhā marduvā aur bārahvāñ baras mujh ko
maiñ kis tarah se chalūñ tere saath kone meñ
'nazīr' ek vo ayyār surtī hai kāfir
kabhī na āvegī vo tere jādū-Tone meñ