Fani Badayuni

dil ki kaya gham ne wo palTi ki tujh sa ban gaya

Fani Badayuni

Badayun, Uttar pradesh, India

1879-1941
dil kī kaayā ġham ne vo palTī ki tujh sā ban gayā
dard meñ dil Duub kar qatre se dariyā ban gayā
un ke āġhosh-e-mashiyyat meñ hai nākāmī mirī
kaam kuchh is tarah bigḌā hai ki goyā ban gayā
dil kī rut aisī to yād-e-yār ne badlī na thī
ye chaman ujḌā hī is Dhab se ki sahrā ban gayā
naqsh-e-mauhūm-e-hayāt afsāna-dar-afsāna thā
jab ye naqsh ubhrā to ik harf-e-tamannā ban gayā
lo mubārak lazzat-e-ġham bhī hai ab to nāgavār
dil mohabbat meñ jo banñā chāhiye thā ban gayā
jalva-e-kasrat ḳhud apnā shauq-e-be-andāza thā
mahfil-e-lailā mirī nazroñ meñ lailā ban gayā
merī mahrūmī bhī rusvā hai ki 'fānī' hāl-e-dil
un ke kānoñ tak na pahuñchā aur fasānā ban gayā
Top Urdushayar.com