kal nazar aayā chaman meñ ik ajab rashk-e-chaman
gul-ruḳh o gul-gūñ qabā o gul-azār o gul-badan
mehr-e-tal.at zohra-paikar mushtarī-rū mah-jabīñ
sīm-bar sīmāb-tab o sīm-sāq o sīm-tan
nāznīñ nāz-āfrīñ nāzuk-badan nāzuk-mizāj
ġhuncha-lab rañgīñ-adā shakkar-dahāñ shīrīñ-suḳhan
be-muravvat bevafā bedard be-parvā ḳhirām
jañg-jū qattāl-vaz o sarfarāz o sar-fagan
mubtalā aise hī ḳhush-vaz.oñ ke hote haiñ 'nazīr'
be-qarār o dil-figār o ḳhasta-hāl be-vatan