chitvan durust sean bajā bāteñ Thīk-Thīk
nāz-o-adā kī us meñ haiñ sab bāteñ Thīk-Thīk
kyā dil ko achchhī lagtī haiñ in ḳhush-qadoñ kī aah
ye pyārī pyārī boliyāñ ye gāteñ Thīk-Thīk
muñh meñ tamāñche chhātī meñ ghūñsa kamar meñ laat
kyā kyā huiiñ ye mujh pe ināyāteñ Thīk-Thīk
mauqa.a se bosa mauqa.a se gaalī bhī ham ko dī
kī shoḳh ne ye donoñ madārāteñ Thīk-Thīk
jab dostī meñ qaul ke puure hoñ donoñ shaḳhs
hotī haiñ phir to kyā hī mulāqāteñ Thīk-Thīk
jab ban paḌī to shaiḳh-jī shaiḳhī na māreñ kyā
ham se bhī phir to hoveñ karāmāteñ Thīk-Thīk
sach hai ba-qaul-e-hazrat-e-sayyad 'nazīr' aah
ban aatī haiñ to hotī haiñ sab bāteñ Thīk-Thīk