jab us kā idhar ham guzar dekhte haiñ
to kar dil meñ kyā kyā hazar dekhte haiñ
udhar tiir chalte haiñ nāz-o-adā ke
idhar apnā siina sipar dekhte haiñ
sitam hai kan-añkhiyoñ se gar taak liije
ġhazab hai agar aañkh bhar dekhte haiñ
na dekheñ to ye haal hotā hai dil kā
ki sau sau taḌap ke asar dekhte haiñ
jo dekheñ to ye jī meñ guzre hai ḳhatra
abhī sar uḌegā agar dekhte haiñ
magar is tarah dekhte haiñ ki us par
ye sābit na ho jo udhar dekhte haiñ
chhupā kar daġhā kar 'nazīr' us sanam ko
ġharaz har tarah ik nazar dekhte haiñ