Nazeer Akbarabadi

phir is taraf wo pari-ru jhamakta aata hai

Nazeer Akbarabadi

Delhi, India

1735-1830
phir is taraf vo parī-rū jhamaktā aatā hai
ba-rañg-mehr ajab kuchh chamaktā aatā hai
idhar udhar jo nazar hai to is liye yaaro
jo Dhab se tākte haiñ un ko taktā aatā hai
koī jo raah meñ kahtā hai dil kī be-tābī
to us se kahtā hai kyā tū ye baktā aatā hai
milāp karnā hai jis se to us kī jānib vaah
qadam uThātā hai jald aur humaktā aatā hai
hamāre dil kī jo ātish hai denī phir bhaḌkā
jabhī 'nazīr' vo palkeñ jhapaktā aatā hai
Top Urdushayar.com