suniye ai jaañ kabhī asiir kī arz
apne kūche ke jā pazīr kī arz
chhid gayā dil zabāñ talak aate
ham ne jab kī nigah ke tiir kī arz
us ghaḌī khilkhilā ke hañs diije
hai yahī ab to kohna piir kī arz
jab to us gul-badan shakar-lab ne
yuuñ kahā sun ke is haqīr kī arz
ab talak dhun hai husn-e-dandāñ kī
dekh is pople 'nazīr' kī arz