Nazeer Akbarabadi

husn us shoKH ka aha-haha

Nazeer Akbarabadi

Delhi, India

1735-1830
husn us shoḳh kā ahā-hāhā
jin ne dekhā kahā ahā-hāhā
zulf Daale hai gardan-e-dil meñ
daam kyā kyā baḌhā ahā-hāhā
teġh-e-abrū bhī kartī hai dil par
vaar kyā kyā nayā ahā-hāhā
aan par aan vo ajī o ho
aur adā par adā ahā-hāhā
naaz se jo na ho vo kartī hai
chupke chupke hayā ahā-hāhā
tā.ir-e-dil pe us kā bāz-e-nigāh
jis ghaḌī aa paḌā ahā-hāhā
us kī phurtī aur us kī lap-chhap kā
kyā tamāshā huā ahā-hāhā
bazm-e-ḳhūbāñ meñ jab gayā vo shoḳh
apnī saj-dhaj banā ahā-hāhā
kī o ho-ho kisī ne dekh 'nazīr'
koī kahne lagā ahā-hāhā
Top Urdushayar.com