avvalan us be-nishāñ aur bā-nishāñ ko ishq hai
ba.ad-azāñ sar halqa-e-paiġham-barāñ ko ishq hai
lā-fatā-illā-alī hai shaan meñ jis kī nuzūl
dostāñ us shāh-e-mardāñ se javāñ ko ishq hai
phir jo hai bāġh-e-nabuvvat aur imāmat kī bahār
ġhuncha-e-gul sabza-e-ambar-fishāñ ko ishq hai
arsh o kursī huur o ġhilmāñ aur malā.ek ḳhaas o aam
ālam-e-bālā ke sab bāshindagāñ ko ishq hai
haiñ jo ye chaudah tabaq mut.harrik o sākin sadā
be-suḳhan un sab zamīn-o-āsmāñ ko ishq hai
muḳhtalif haiñ aur mile rahte haiñ bāham roz-o-shab
ḳhaak baad o ātish o āb-e-ravāñ ko ishq hai
hai jahāñ meñ jin se raushan adl ke ghar kā charāġh
dam-ba-dam un bādshāhān-e-jahāñ ko ishq hai
aur ḳhurāsāñ asfahān īrān aur tūrān ko
phir hamāre gulshan-e-hindostāñ ko ishq hai
haiñ jahāñ tak silsile fuqarā ke az-kah-tā-bah-mah
ārifāñ aur kāmilāñ aur āshiqāñ ko ishq hai
koh tharrāte haiñ larzeñ haiñ zamīn o āsmān
āshiq-e-maulā kī fariyād-o-fuġhāñ ko ishq hai
har taraf gulzār hai sabzān aur āb-e-ravāñ
apnī nazroñ meñ bahār-e-gul-fashāñ ko ishq hai
vo jo haiñ is gulshan-e-hastī meñ ab mahv-e-fanā
un ke aage mausam-e-bād-e-ḳhizāñ ko ishq hai
gard ke mānind phirtī haiñ paḌī uḌtī ḳharāb
luT ga.ī dast-e-junūñ kī kārvāñ ko ishq hai
loTte haiñ mast mai-ḳhāne ke dar par jā-ba-jā
jaam o sahbā saaqī o pīr-e-muġhāñ ko ishq hai
kal hī naqsh-e-zā.iqa sun kar bhī ham aamil rahe
ai azīzāñ is hayāt-e-rā.egāñ ko ishq hai
ḳhilqat-e-kaunain meñ kyā jin o kyā insāñ 'nazīr'
vahshī o taa.ir zabāñ o be-zabāñ ko ishq hai