Fani Badayuni

ab lab pe wo hangama-e-fariyaad nahin hai

Fani Badayuni

Badayun, Uttar pradesh, India

1879-1941
ab lab pe vo hañgāma-e-fariyād nahīñ hai
allāh re tirī yaad ki kuchh yaad nahīñ hai
aatī hai sabā sū-e-lahad un kī galī se
shāyad mirī miTTī abhī barbād nahīñ hai
allāh bachā.e asar-e-zabt se un ko
bedād to hai shikva-e-bedād nahīñ hai
apnī hī badaulat hai nasheman kī ḳharābī
minnat-kash-e-be-dardi-e-sayyād nahīñ hai
āmāda-e-fariyād-rasī hai vo sitamgar
fariyād ki ab tāqat-e-faryād nahīñ hai
duniyā meñ dayār-e-dil-e-'fānī' ke sivā haa.e
koī bhī vo bastī hai jo ābād nahīñ hai
Top Urdushayar.com