Nazeer Akbarabadi

bazm-e-tarab waqt-e-aish saqi o naql o sharab

Nazeer Akbarabadi

Delhi, India

1735-1830
bazm-e-tarab vaqt-e-aish saaqī o naql o sharāb
koī ise kuchh kaho ham to samajhte haiñ ḳhvāb
majma.a-e-ḳhūbāñ vale zamzama-e-chañg vale
koī ise kuchh kaho ham to samajhte haiñ ḳhvāb
sehn-e-chaman husn-e-gul abr-o-havā sharb-e-mul
koī ise kuchh kaho ham to samajhte haiñ ḳhvāb
ishrat-e-sub.h-e-bahār sair-e-gul-o-lāla-zār
koī ise kuchh kaho ham to samajhte haiñ ḳhvāb
raqs-e-but-e-ġhuncha-lab kasrat-e-aish-o-tarab
koī ise kuchh kaho ham to samajhte haiñ ḳhvāb
ishq ke ijz-o-niyāz husn ke andāz-o-nāz
koī ise kuchh kaho ham to samajhte haiñ ḳhvāb
mastī-e-mai-ḳhāna-hā gardish-e-paimāna-hā
koī ise kuchh kaho ham to samajhte haiñ ḳhvāb
shādī-e-vasl-e-butāñ sohbat-e-mah-talatāñ
koī ise kuchh kaho ham to samajhte haiñ ḳhvāb
ġhalġhal-e-kos-nashāt ḳhush-dilī o imbisāt
koī ise kuchh kaho ham to samajhte haiñ ḳhvāb
sarvat-e-māl-o-manāl hashmat-o-jāh-o-jalāl
koī ise kuchh kaho ham to samajhte haiñ ḳhvāb
qasr-o-mahl dil-pazīr zīnat-o-zeb ai 'nazīr'
koī ise kuchh kaho ham to samajhte haiñ ḳhvāb
Top Urdushayar.com