Nazeer Akbarabadi

jo kuchh hai husn mein har mah-laqa ko aish-o-tarab

Nazeer Akbarabadi

Delhi, India

1735-1830
jo kuchh hai husn meñ har mah-laqā ko aish-o-tarab
vahī hai ishq meñ har mubtalā ko aish-o-tarab
agarche ahl-e-navā ḳhush haiñ har tarah lekin
ziyāda un se hai har be-navā ko aish-o-tarab
vo mai-kade meñ halāvat hai riñd-e-mai-kash ko
jo ḳhānqāh meñ hai pārsā ko aish-o-tarab
rakhe hai har tan-e-uryāñ barahna-pā.ī vahī
jo kuchh hai sāhib-e-asp-o-qabā ko aish-o-tarab
kamāl-e-qudrat-e-haq hai 'nazīr' kyā kahiye
jo shaah ko hai vahī hai gadā ko aish-o-tarab
Top Urdushayar.com