Nazeer Akbarabadi

kahte hain jis ko nazir suniye Tuk us ka bayan

Nazeer Akbarabadi

Delhi, India

1735-1830

kahte haiñ jis ko 'nazīr' suniye Tuk us bayāñ

thā vo moallim ġharīb buzdil o tarsanda-jāñ

koī kitāb is ke ta.iiñ saaf na thī dars

aa.e to ma.anī kahe varna paḌhā.ī ravāñ

fahm na thā ilm se kuchh arabī ke use

fārsī meñ haañ magar samjhe thā kuchh iin o aañ

likhne ye tarz thī kuchh jo likhe thā kabhī

puḳhtagī o ḳhāmī ke us thā ḳhat darmiyāñ

sher o ġhazal ke sivā shauq na thā kuchh use

apne isī shaġhl meñ rahtā thā ḳhush har zamāñ

sust ravish past qad sāñvlā hindī-nazhād

tan bhī kuchh aisā thā qad ke muāfiq ayaañ

māthe pe ik ḳhaal thā chhoTā masse ke taur

thā vo paḌā aan kar abruoñ ke darmiyāñ

vaz.a subuk us thī tis pe na rakhtā thā riish

mūchhaiñ thiiñ aur kānoñ par paTTe bhī the pumba-sāñ

piirī meñ jaisī ki thī us ko dil-afsurdagī

vaisī rahī thī un dinoñ jin dinoñ maiñ thā javāñ

jitne ġharaz kaam haiñ aur paḌhāne sivā

chāhiye kuchh us se hoñ utnī liyāqat kahāñ

fazl ne allāh ke us ko diyā umr bhar

izzat-o-hurmat ke saath pārcha o āb-o-nāñ

Top Urdushayar.com