Nazeer Akbarabadi

kisi ne raat kaha uski dekh kar surat

Nazeer Akbarabadi

Delhi, India

1735-1830
kisī ne raat kahā us kī dekh kar sūrat
ki maiñ ġhulām huuñ is shakl kā bahar-sūrat
haiñ aa.ine ke bhī kyā tāle.a ab sikandar vaah
ki us nigār kī dekhe hai har sahar sūrat
ajab bahār huī kal to vaqt-e-nazzāra
jo maiñ idhar ko huā us ne kī udhar sūrat
udhar ko jab maiñ gayā us ne lī idhar ko pher
phirā maiñ us ne firā.ī jidhar jidhar sūrat
hazāroñ phurtiyāñ maiñ ne to kiiñ par us ne 'nazīr'
na dekhne dī mujhe apnī āñkh-bhar sūrat
Top Urdushayar.com