Nazeer Akbarabadi

tadbir hamare milne ki jis waqt koi Thahraoge tum

Nazeer Akbarabadi

Delhi, India

1735-1830
tadbīr hamāre milne kī jis vaqt koī Thahrāoge tum
ham aur chhupeñge yahāñ tak jī jo ḳhuub hī phir ghabrāoge tum
bezār karoge dil ham se yā minnat-e-dar se rokoge
vo dil to hamāre bas meñ hai kis taur use samjhāoge tum
gir jādū-mantar sīkhoge to sehr hamārī nazroñ kā
is kūche meñ biThlāve. phir kahiye kyūñkar aaoge tum
gar chhup kar dekhne aaoge ham apne bālā-ḳhāne ke
sab parde chhoḌe rakkheñge phir kyūñkar dekhne pāoge tum
gar jādū-mantar sīkhoge to sahar hamārī nazroñ kā
tāsīr ko us kī kho degā kuchh pesh nahīñ le jāoge tum
tasvīr agar mañgvāoge to dekh hamārī sūrat ko
hairān musavvir hovegā phir rañg kaho kyā lāoge tum
jo vaqt 'nazīr' in bātoñ kī ham ḳhuub kareñge hushyārī
jo harf zabāñ par lāoge tum phir kyūñkar dikhlāoge tum
Top Urdushayar.com