ḳhud masīhā ḳhud hī qātil haiñ to vo bhī kyā kareñ
zaḳhm paidā kareñ yā zaḳhm-e-dil achchhā kareñ
dil rahe ālūda-dāman aur ham dekhā kareñ
aaj ai ashk-e-nadāmat aa tujhe dariyā kareñ
jism-e-āzādi meñ phūñkī tū ne majbūrī kī ruuh
ḳhair jo chāhā kiyā ab ye batā ham kyā kareñ
ḳhuun ke chhīñToñ se kuchh phūloñ ke ḳhāke hī sahī
mausam-e-gul aa gayā zindāñ meñ baiThe kyā kareñ
jā-ba-jā taġhiyi-e-hāl-e-dil ke charche haiñ to hoñ
ham hue rusvā magar ab ham kise rusvā kareñ
haañ nahīñ shart-e-muravvat hasrat-e-tāsīr-e-dard
rahm aa hī jā.egā un se taqāzā kyā kareñ
shauq-e-nazzāra salāmat hai to dekhā jā.egā
un ko parda hī agar manzūr hai pardā kareñ
zarf vīrāna ba-qadr-e-himmat-e-vehshat nahīñ
laao har zarre meñ paidā vus.at-e-sahrā kareñ
marg-e-be-hañgām 'fānī' vaj.h-e-taskīñ ho chukī
zindagī se aap ghabrāte haiñ ghabrāyā kareñ