Nazeer Akbarabadi

tan par uske sim fida aur munh par mah diwana hai

Nazeer Akbarabadi

Delhi, India

1735-1830
tan par us ke siim fidā aur muñh par mah dīvāna hai
sar se lai kar paañv talak ik motī kā sā daana hai
naaz nayā andāz nirālā chitvan aafat chaal ġhazab
siina ubhrā saaf sitam aur chhab kā qahr yagāna hai
bāñkī saj-dhaj aan anūThī bholī sūrat shoḳh-mizāj
nazroñ meñ khul khel lagāvaT āñkhoñ meñ sharmānā hai
tan bhī kuchh gadrāyā hai aur qad bhī baḌhtā aatā hai
kuchh kuchh husn to aayā hai aur kuchh kuchh aur bhī aanā hai
jab aisā husn qayāmat ho betāb na ho dil kyūñki 'nazīr'
jaan par apnī kheleñge ik roz ye ham ne jaanā hai
Top Urdushayar.com