Nazeer Akbarabadi

kholi jo Tuk ai ham-nashin us dil-ruba ki zulf kal

Nazeer Akbarabadi

Delhi, India

1735-1830
kholī jo Tuk ai ham-nashīñ us dil-rubā kī zulf kal
kyā kyā jatā.e ḳham ke ḳham kyā kyā dikhā.e bal ke bal
aatā jo bāhar ghar se vo hotī hameñ kyā kyā ḳhushī
gar dekh lete ham use phir ek dam yā ek pal
din ko to bīm-e-fitna hai ham us se mil sakte nahīñ
aatā hai jis dam ḳhvāb meñ jab dekhte haiñ be-ḳhalal
kyā bebasī kī baat hai yaaro 'nazīr' ab kyā kare
vo aane vaañ detā nahīñ aatī nahīñ yaañ jī meñ kal
Top Urdushayar.com