Nazeer Akbarabadi

dosto kya kya diwali mein nashat-o-aish hai

Nazeer Akbarabadi

Delhi, India

1735-1830
dosto kyā kyā divālī meñ nashāt-o-aish hai
sab muhayyā hai jo is hañgām ke shāyāñ hai shai
is tarah haiñ kūcha-o-bāzār par naqsh-o-nigār
ho ayaañ husn-e-nigārisatāñ kī jin se ḳhuub re
garm-joshī apne bā-jām-e-charāġhāñ lutf se
kyā hī raushan kar rahī hai har taraf roġhan kī mai
mā.il-e-sair-e-charāġhāñ ḳhalq har jā dam-ba-dam
hāsil-e-nazzārā husn-e-sham.a-rū yaañ pai-ba-pai
āshiqāñ kahte haiñ māshūqoñ se bā-ijz-o-niyāz
hai agar manzūr kuchh lenā to hāzir haiñ rūpa.e
gar mukarrar arz karte haiñ to kahte haiñ vo shoḳh
ham se lete ho miyāñ takrār-e-hujjat tā-ba-kai
kahte haiñ ahl-e-qimār aapas meñ garm-e-iḳhtilāt
ham to Dab meñ sau ruupe rakhte haiñ tum rakhte ho ke
jiit kā paḌtā hai jis kā daañv vo kahtā huuñ maiñ
sū-e-dast-e-rāst hai mere koī farḳhanda-pai
hai dasahre meñ bhī yuuñ gar farhat-o-zīnat 'nazīr'
par divālī bhī ajab pākīza-tar tyauhār hai
Top Urdushayar.com