Nazeer Akbarabadi

dariya o koh o dasht o hawa arz aur sama

Nazeer Akbarabadi

Delhi, India

1735-1830
dariyā o koh o dasht o havā arz aur samā
dekhā to har makāñ meñ vahī hai rahā samā
hai kaun sī vo chashm nahīñ jis meñ us kā nuur
hai kaun sā vo dil ki nahīñ jis meñ us kī jā
qumrī usī kī yaad meñ kū-kū kare hai yaar
bulbul usī ke shauq meñ kartī hai chahchahā
muflis kahīñ ġharīb tavañgar kahīñ ġhanī
aajiz kahīñ nibal kahīñ sultāñ kahīñ gadā
bahrūp sā banā ke har ik jā vo aan aan
kis kis tarah ke ruup badaltā hai vāh-vā
mulk-e-razā meñ kar ke tavakkul kī jins ko
baiTheñ haiñ sab isī kī dukāneñ lagā lagā
sab kā isī dukān se jaarī hai kārobār
letā hai koī husn koī dil hai bechtā
dekhā jo ḳhuub ġhaur se ham ne to yaañ 'nazīr'
bāzār-e-mustafā hai ḳharīdār hai ḳhudā
Top Urdushayar.com