Nazeer Akbarabadi

ruKH pari chashm pari zulf pari aan pari

Nazeer Akbarabadi

Delhi, India

1735-1830
ruḳh parī chashm parī zulf parī aan parī
kyuuñ na ab nām-e-ḳhudā ho tire qurbān parī
jhamke jhamke vo surayyā ke kiran phuul vo phuul
bunde baale parī motī parī aur kaan parī
rashk-e-ḳhurshīd jabīñ abr-e-siyah sī paTTī
lahr choTī kī ġhazab zulf-e-pareshān parī
husn gulzār qamar shakl surāhī gardan
mah-jabīñ seb-e-zaqan chāh-e-zanaḳhdān parī
maar ġhamza kī balā tīr-e-nigah dast-e-sināñ
teġh-e-abrū kī sitam tarkash-e-mizhgān parī
muskurāne kī adā jaise chamak bijlī kī
aan hañsne kī qayāmat lab-o-dandān parī
aañkh mastī kī bharī shoḳh nigāheñ chanchal
qahr kājal kī khachāvaT misī o paan parī
benī aur nath kā vo aalam ki chhide dil jis se
huur chunnī kī jhalak gauhar-e-ġhaltān parī
dhukdhukī chāñd sī jugnū bhī sitāroñ kī misāl
itr-dāñ turfa vo toḌe bhī daraḳhshān parī
chaak siine kā ġhazab saaf badan motī sā
ek tasvīr sī kurtī kā garebān parī
pusht gul-barg shikam siim kamar tār-e-nigāh
sān-e-billor gulāvaT meñ har ik raan parī
gherā pashvāz kā vo jis ke kanārī qurbāñ
chaal aafat kī nishāñ jumbish-e-dāmān parī
kyā kahūñ us ke sarāpā kī maiñ tārīf 'nazīr'
qad parī dhaj parī aalam parī aur shaan parī
Top Urdushayar.com