Nazeer Akbarabadi

rakhta hai go qadim se buniyaad aagara

Nazeer Akbarabadi

Delhi, India

1735-1830
rakhtā hai go qadīm se buniyād āgara
akbar ke naam se huā ābād āgara
yaañ ke khañDar na aur jagah kī imārateñ
yaaro ajab maqām hai dil-shād āgara
shaddād zar lagā na banātā bahisht ko
gar jāntā ki hovegā ābād āgara
toḌe koī qile ko koī luuTe shahr ko
ab kis se apnī māñge bhalā daad āgara
ab to zarā sā gaañv hai beTī na de ise
lagtā thā varna chiin kā dāmād āgara
yak-bārgī to ab mujhe yā-rab tū phir basā
kartā hai ab ḳhudā se ye fariyād āgara
ik ḳhūb-rū nahīñ hai yahāñ varna ek din
thā rashk-e-husn-e-balaḳh-va-naushād āgara
hargiz vatan kī yaad na aave use kabhī
jo kar ke apnī jaañ ko kare shaad āgara
is meñ sadā ḳhushī se rahā hai tirā 'nazīr'
yā-rab hamesha rakhiyo to ābād āgara
Top Urdushayar.com