na us ke naam se vāqif na us kī jā ma.alūm
milegā dekhiye kyūñkar vo but ḳhudā ma.alūm
javāb dekhiye dil le ke ye kahā chupke
na ho ye aur kisī ko tire sivā ma.alūm
lagā ke zaḳhm-e-jigar par jo phir namak chhiḌkā
to is meñ ham ko huā aur hī mazā ma.alūm
badan parī kā tire tan se go ki gorā hai
vale vo chāhe ki aisā ho gudgudā ma.alūm
ham us pe marte haiñ muddat se aur vo kahtā hai
qasam ḳhudā kī hameñ to ye ab huā ma.alūm
kiyā thā ahd na va.ada na qaul ne iqrār
jo aa gayā vo mire paas shab ko nā-mālūm
jo mujh se hañs ke kahā jis liye ham aa.e haiñ
'nazīr' tum ne bhī sach kahiyo kyā kiyā ma.alūm
kahā ye maiñ ne mujhe kyā ḳhabar tumhīñ jaano
kisī ke dil kī bhalā jī kisī ko kyā ma.alūm