Nazeer Akbarabadi

dekh le jo aalam uske husn-e-baala-dast ka

Nazeer Akbarabadi

Delhi, India

1735-1830
dekh le jo aalam us ke husn-e-bālā-dast kā
hausla itnā kahāñ apnī nigāh-e-past kā
niist rahte ham to ye saireñ kahāñ se dekhte
ye faqat ehsān hai us zāt-e-pāk-e-mast kā
be-sadā aa kar lagā aur ho gayā siine ke paar
ye ḳhadañg-e-sāf thā kis be-nishāñ kī shast kā
baat kuchh kahtā hai aur nikle hai muñh se kuchh 'nazīr'
ye nasha tujh ko huā kis kī nigāh-e-mast kā
Top Urdushayar.com