Nazeer Akbarabadi

ho kis tarah na hum ko har dam hawa-e-matlab

Nazeer Akbarabadi

Delhi, India

1735-1830
ho kis tarah na ham ko har dam havā-e-matlab
dekhā jo ḳhuub ham ne duniyā hai jā-e-matlab
jo gul-badan ki aayā āġhosh meñ hamāre
kuchh aur bū na niklī us meñ sivā.e matlab
ushshāq kī bhī ulfat ḳhālī nahīñ ġharaz se
marte haiñ ye bhī is par jis se barā.e matlab
koī kisī ke uupar ham ne fidā na dekhā
muñh par fidā haiñ lekin dil meñ fidā-e-matlab
matlab ke āshnā ko ho kis se āshnā.ī
kab āshnā kisī kā ho āshnā-e-matlab
gar bazm-e-raqs dekhī to vaañ bhī gosh-e-dil meñ
koī sadā na aa.ī ġhair-az-sadā-e-matlab
zer-e-falak to ham se jaatī nahīñ tamannā
haañ phir falak pe jāveñ jab ham se jā-e-matlab
vo aabrū ki jis par karte haiñ jaañ tasadduq
us ko bhī de chuke haiñ akasr barā.e matlab
jab harf-e-ābrū tak pahuñchā 'nazīr' phir to
kyā kahiye aisī jāgah jizya ki haa.e matlab
Top Urdushayar.com