Nazeer Akbarabadi

jal mein zar ke agar moti ka dana hoga

Nazeer Akbarabadi

Delhi, India

1735-1830
jaal meñ zar ke agar motī kā daanā hogā
vo na is daam meñ āvegā jo daanā hogā
dām-e-zulf aur jahāñ ḳhaal kā daanā hogā
phañs hī jāvegā ġharaz kaisā hī daanā hogā
dil ko ham laa.e the mizhgāñ kī safeñ dikhlāne
ye na samjhe the ki tīroñ kā nishānā hogā
aaj dekh is ne mirī chaah kī chitvan yaaro
muñh se go kuchh na kahā dil meñ to jaanā hogā
bhar nazar dekheñge us ahd-shikan kī sūrat
dekhiye kaun sā yā-rab vo zamānā hogā
ḳhuuñ bahāne kā mire hashr meñ jab hogā bahā
dekheñ kyā us ghaḌī qātil ko bahānā hogā
vo bhī kuchh aisī hī kah degā ki jis se us ko
baat kī baat bahāne kā bahānā hogā
talḳhī-e-marg jise kahte haiñ afsos afsos
ek din sab ke ta.iiñ zahr ye khānā hogā
dekh le is chaman-e-dahr ko dil bhar ke 'nazīr'
phir tirā kaahe ko is baaġh meñ aanā hogā
Top Urdushayar.com