diyā jo saaqī ne sāġhar-e-mai dikhā ke aan ik hameñ labālab
agarche mai-kash to ham na.e the pa lab pe rakhte hī pī ga.e sab
chalte haiñ dene ko ham jise dil vo hañs ke le le bas ab hameñ to
yahī hai ḳhvāhish yahī tamannā yahī hai maqsad yahī hai matlab
kabhī jo aate haiñ dekhne ham to aap tevrī ko haiñ chaḌhāte
jo har-dam aaveñ to kiije ḳhafgī miyāñ ham aate haiñ aise kab kab
na pī thī ham ne ye mai to jab tak 'nazīr' ham meñ thā dīn-o-īmāñ
lagā laboñ se vo jaam phir to kahāñ kā diin aur kahāñ kā maz.hab