saaqī zuhūr-e-sub.h o tarashshah hai nuur kā
de mai yahī to vaqt hai nuur o zuhūr kā
kūche meñ us ke jis ko jagah mil ga.ī vo phir
maa.il huā na sehn-e-chaman ke surūr kā
ye gul jo ham ne haath pe khaa.e haiñ rū-ba-rū
ham ko yahī milā hai tabarruk huzūr kā
sīmāb jis ko kahte haiñ sīmāb ye nahīñ
dil aab ho gayā hai kasī nā-subūr kā
mai pī ke āshiqī ke ḳharābāt meñ 'nazīr'
ne Dar hai mohtasib kā na sadrussudūr kā