Nazeer Akbarabadi

juda kisi se kisi ka gharaz habib na ho

Nazeer Akbarabadi

Delhi, India

1735-1830
judā kisī se kisī kā ġharaz habīb na ho
ye daaġh vo hai ki dushman ko bhī nasīb na ho
judā jo ham ko kare us sanam ke kūche se
ilāhī raah meñ aisā koī raqīb na ho
ilaaj kyā kareñ hukamā tap-e-judā.ī kā
sivā.e vasl ke is kā koī tabīb na ho
'nazīr' apnā to ma.ashūq ḳhūbsūrat hai
jo husn us meñ hai aisā koī ajiib na ho
Top Urdushayar.com