Nazeer Akbarabadi

har aan tumhaare chhupne se aisa hi agar dukh paenge hum

Nazeer Akbarabadi

Delhi, India

1735-1830
har aan tumhāre chhupne se aisā hī agar dukh pā.eñge ham
to haar ke ik din is kī bhī tadbīr koī Thahrā.eñge ham
bezār kareñge ḳhātir ko pahle to tumhārī chāhat se
phir dil ko bhī kuchh minnat se kuchh haibat se samjhā.eñge ham
gar kahnā dil ne maan liyā aur ruk baiThā to bahattar hai
aur chain na lene devegā to bhes badal kar ā.eñge ham
avval to nahīñ pahchānoge aur loge bhī pahchān to phir
har taur se chhup kar dekheñge aur dil ko ḳhush kar jā.eñge ham
gar chhupnā bhī khul jāvegā to mil kar afsūñ-sāzoñ se
kuchh aur hī laTkā sehr-bharā us vaqt baham pahuñchā.eñge ham
jab vo bhī pesh na jāvegā aur shohrat hovegī phir to
jis sūrat se ban āvegā tasvīr khiñchā mañgvā.eñge ham
mauqūf karoge chhupne ko to behtar varna 'nazīr' aasā
jo harf zabāñ par lā.eñge phir vo hī kar dikhlā.eñge ham
Top Urdushayar.com