Nazeer Akbarabadi

na main dil ko ab har makan bechta hun

Nazeer Akbarabadi

Delhi, India

1735-1830
na maiñ dil ko ab har makāñ bechtā huuñ
koī ḳhūb-rū le to haañ bechtā huuñ
vo mai jis ko sab bechte haiñ chhupā kar
maiñ us mai ko yaaro ayaañ bechtā huuñ
ye dil jis ko kahte haiñ arsh-e-ilāhī
so us dil ko yaaro maiñ yaañ bechtā huuñ
zarā merī himmat to dekho azīzo
kahāñ kī hai jins aur kahāñ bechtā huuñ
liye haath par dal ko phirtā huuñ yaaro
koī mol leve to haañ bechtā huuñ
vo kahtā hai jī koī beche to ham leñ
to kahtā huuñ lo haañ miyāñ bechtā huuñ
maiñ ek apne yūsuf kī ḳhātir azīzo
ye hastī kā sab kārvāñ bechtā huuñ
jo puurā ḳharīdār pā.ūñ to yaaro
maiñ ye sab zamīn-o-zamāñ bechtā huuñ
zamīñ āsmāñ arsh-o-kursī bhī kyā hai
koī le to maiñ lā-makāñ bechtā huuñ
jise mol lenā ho le le ḳhushī se
maiñ is vaqt donoñ jahāñ bechtā huuñ
bikī jins ḳhālī dukāñ rah ga.ī hai
so ab is dukāñ ko bhī haañ bechtā huuñ
mohabbat ke bāzār meñ ai 'nazīr' ab
maiñ aajiz ġharīb apnī jaañ bechtā huuñ
Top Urdushayar.com