mohtāj-e-ajal kyuuñ hai ḳhud apnī qazā ho jā
ġhairat ho to marne se pahle hī fanā ho jā
ai shauq-e-talab baḌh kar majnūn-e-adā ho jā
ai himmat-e-mardāna rāzī-ba-razā ho jā
āġhosh-e-fanā meñ ham parvarda-e-āfat haiñ
ai fitna-e-daurāñ uTh ai hashr bapā ho jā
zid aur ye zid ai dil achchhā to ḳhudā-hāfiz
qurbān hī us but par hotā hai to jā ho jā
us jān-e-tamannā se be-parda na shikva kar
vo tujh se ḳhafā hai to jiine se ḳhafā ho jā
har qāfla-e-dil ko tū muzhda-e-manzil de
har rahguzar-e-ġham meñ naqsh-e-kaf-e-pā ho jā
ye dard-e-mohabbat bhī kyā shai hai ma.āz-allāh
maiñ dard-e-mohabbat se kahtā huuñ sivā ho jā
zālim kā na shikva kar zulmoñ kī na parvā kar
tū apnī vafāoñ kī izzat pe fidā ho jā
is hasti-e-fānī se kar qat-e-nazar 'fānī'
tū dost kā tālib hai dushman se judā ho jā