Nazeer Akbarabadi

qasr-e-rangin se guzar bagh-o-gulistan se nikal

Nazeer Akbarabadi

Delhi, India

1735-1830
qasr-e-rañgīñ se guzar bāġh-o-gulistāñ se nikal
hai vafā-pesha tū mat kūcha-e-jānāñ se nikal
nik.hat-e-zulf ye kis kī hai ki jis ke aage
huī ḳhajlat-zada bū sumbul-o-raihāñ se nikal
go bahār ab hai vale roz-e-ḳhizāñ ai bulbul
yak-qalam nargis o gul jāveñge bustāñ se nikal
imtihāñ karne ko yuuñ dil se kahā ham ne raat
ai dil-e-ġham-zada is kākul-e-pechāñ se nikal
khā ke sau pech kahā maiñ to nikalne kā nahīñ
magar ai dushman-e-jāñ chal tū mire haañ se nikal
ho pareshānī se jis kī mujhe sau jam.iyyat
kis tarah jā.ūñ maiñ us zulf-e-pareshāñ se nikal
laakh zindān-e-pur-āfāt meñ hotā hai vo qaid
jo koī jaatā hai is taur ke zindāñ se nikal
mujh se mumkin nahīñ mahbūb kī qat.a-e-ulfat
garche maiñ jā.ūñgā is ālam-e-imkāñ se nikal
chaah meñ mujh ko ye murshid kā hai irshād 'nazīr'
aabrū chāhe to mat chāh-e-zanaḳhdāñ se nikal
Top Urdushayar.com