Nazeer Akbarabadi

rakkhi hargiz na tere ruKH ne ruKH-e-badr ki qadr

Nazeer Akbarabadi

Delhi, India

1735-1830
rakkhī hargiz na tire ruḳh ne ruḳh-e-badr kī qadr
khoī kākul ne bhī āḳhir ko shab-e-qadr kī qadr
izzat-o-qadr kī us gul se tavaqqo.a hai abas
vaañ na izzat kī kuchh izzat hai na kuchh qadr kī qadr
rāstī ḳhvār hai us chashm-e-fusūñ-parvar se
haañ magar manzilat-e-makr hai aur ġhadr kī qadr
mai-parastoñ meñ hai yuuñ sāġhar-o-mīnā kā vaqār
jaise islām meñ ho mohtasib o sadr kī qadr
kafsh-bardārī se us mahr kī chamkā hai 'nazīr'
varna kyā ḳhaak thī is zarra-e-be-qadr kī qadr
Top Urdushayar.com