Nazeer Akbarabadi

ye dil-e-nadan hamara bhi ajab diwana tha

Nazeer Akbarabadi

Delhi, India

1735-1830
ye dil-e-nādāñ hamārā bhī ajab dīvāna thā
us ko apnā ghar ye samjhā thā jo mehmāñ-ḳhāna thā
the jo begāne yagāne un ko gintā thā ba-jāñ
is qadar ġhaflat meñ aql-o-hosh se begāna thā
le liyā ma.anī ko aur sūrat ko jaanā be-sabāt
ġhaur se dekhā to aalam meñ vahī farzāna thā
kyā ġham-e-asbāb zāhir kā na ho jis ko qayām
chashm-e-ma.anī-bīñ meñ yaksāñ hai agar thā yā na thā
kahte haiñ ahd-e-salaf meñ thā koī aisā makāñ
qit.a-e-ḳhuld us kā ek ik kunj aur kāshāna thā
pur-safā o pur-ziyā o pur-nigār o pur-bahār
zeb se sau sau tarah us meñ jo shāḳh aur shāna thā
lahza lahza aish-o-ishrat dam-ba-dam raqs-o-surūr
girya-e-mīnā o yaksar ḳhanda-e-paimāna thā
mālik us kā jab vo pusht-e-bām par phirtā thā shaad
kyā kahūñ kyā kyā use nāz-e-sar-afrāzānā thā
thā jahāñ ye kuchh ayaañ vaañ inqalāb-e-daur se
yak mizha barham zadan meñ kuchh na thā vīrāna thā
vaañ tīnīs-e-yak-magas aa.e na hargiz gosh meñ
jis jagah shor-e-qayāmat sāz-e-naubat-ḳhāna thā
vaañ nazar aayā na hargiz pāra-e-sañg-e-siyāh
jis jagah la.al-o-gohar se pur javāhir-ḳhāna thā
ḳhuub jo dekhā 'nazīr' in raftagāñ kā mājrā
bahr-e-ḳhauf-o-ibrat-e-ā.indagāñ afsāna thā
Top Urdushayar.com