Nazeer Akbarabadi

jab uske hi milne se nakaam aaya

Nazeer Akbarabadi

Delhi, India

1735-1830
jab us ke hī milne se nākām aayā
to yā-rab ye dil merā kis kaam aayā
kabhī us taġhāful-manush kī taraf se
na qāsid na naama na paiġhām aayā
sad-afsos dam apnā niklā hai kis dam
ki jab ghar se ghar tak vo gulfām aayā
mujhe sub.h ko qatl kar vo masīhā
jo ghar apne farḳhanda farjām aayā
kisī ne mirī baat bhī vaañ na pūchhī
agarche har ik ḳhaas aur aam aayā
ġharaz phir usī ko jo yaad aa.ī merī
to ghabrā ke jis dam huī shaam aayā
jalāyā uThāyā gale se lagāyā
azīzo phir āḳhir vahī kaam aayā
ga.ī bevafā.ī 'nazīr' ab jahāñ se
vafā-dāriyoñ kā bhī hañgām aayā
Top Urdushayar.com