Nazeer Akbarabadi

tere bhi munh ki raushni raat gai thi mah se mil

Nazeer Akbarabadi

Delhi, India

1735-1830

tere bhī muñh raushnī raat ga.ī thī mah se mil

taab se taab ruḳh se ruḳh nuur se nuur zil se zil

yūsuf-e-misr se magar milte haiñ sab tire nishāñ

zulf se zulf lab se lab chashm se chashm til se til

jitne haiñ kushtagān-e-ishq un ke azal se haiñ mile

ashk se ashk nam se nam ḳhuun se ḳhuun gil se gil

jab se muā hai kohkan karte haiñ us ġham sadā

koh se koh se sañg se sañg sil se sil

yaar milā jab ai 'nazīr' mere gale, to mil ga.e

jism se jism jaañ se jaañ ruuh se ruuh dil se dil

Top Urdushayar.com