ho kyuuñ na tire kaam meñ hairān tamāshā
yā-rab tirī qudrat meñ hai har aan tamāshā
le arsh se tā-farsh na.e rañg na.e Dhañg
har shakl ajā.ib hai har ik shaan tamāshā
aflāk pe tāroñ kī jhalaktī hai tilismāt
aur rū-e-zamīñ par gul-o-raihān tamāshā
jinnāt parī dev malak huur bhī nādir
insān ajūba hai to haivān tamāshā
jab husn ke jaatī hai muraqqa.a pe nazar aah
kyā kyā nazar aatā hai har ik aan tamāshā
choTī kī guñdhāvaT kahīñ dikhlātī hai lahreñ
rakhtī hai kahīñ zulf-e-pareshān tamāshā
gar ishq ke kūche meñ guzar kiije to vaañ bhī
har vaqt na.ī sair hai har aan tamāshā
muñh zard badan ḳhushk jigar chaak alamnāk
ġhul shor tapish nāla-o-afġhān tamāshā
ham past nigāhoñ kī nazar meñ to 'nazīr' aah
sab arz-o-samā kī hai gulistān tamāshā