Nazeer Akbarabadi

jam na rakh saqiya shab hai paDi aur bhi

Nazeer Akbarabadi

Delhi, India

1735-1830
jaam na rakh sāqiyā shab hai paḌī aur bhī
phir jahāñ kaT ga.e chaar ghaḌī aur bhī
pahle hī sāġhar meñ the ham to paḌe loTte
itne meñ saaqī ne dī us se kaḌī aur bhī
palkeñ to chhede thiiñ dil maare thī barchhī-nigāh
abrū ne us par se ek teġh jaḌī aur bhī
kuchh tapish-e-dil thī kuchh sunte hī furqat kā naam
aag sī ek aag par aan paḌī aur bhī
merī shab-e-vasl kī sub.h chalī aatī hai
rok le is dam falak ek ghaḌī aur bhī
garche ubhar aa.e haiñ tan pe mire par miyāñ
itnī lagā.īñ jahāñ ek chhaḌī aur bhī
kyā kahūñ us shoḳh kī vaah meñ ḳhūbī 'nazīr'
sunte hī is baat ke ek jaḌī aur bhī
Top Urdushayar.com