banā hai apne aalam meñ vo kuchh aalam javānī kā
ki umr-e-ḳhizr se behtar hai ek ik dam javānī kā
nahīñ būḌhoñ kī dāḌhī par miyāñ ye rañg vasme kā
kiyā hai un ke ek ek baal ne mātam javānī kā
ye būḌhe go ki apne muñh se shaiḳhī meñ nahīñ kahte
bharā hai aah par in sab ke dil meñ ġham javānī kā
ye pīrān-e-jahāñ is vāste rote haiñ ab har dam
ki kyā kyā in kā hañgāma huā barham javānī kā
kisī kī piiTh kubḌī ko bhalā ḳhātir meñ kyā laave
akaḌ meñ naujavānī ke jo maare dam javānī kā
sharāb o gul-badan saaqī maze aish-o-tarab har-dam
bahār-e-zindagī kahiye to hai mausam javānī kā
'nazīr' ab ham uḌāte haiñ maze kyā kyā ahā-hā-hā
banāyā hai ajab allāh ne aalam javānī kā