Fani Badayuni

maal-e-soz-e-gham-ha-e-nihani dekhte jao

Fani Badayuni

Badayun, Uttar pradesh, India

1879-1941
ma.āl-e-soz-e-ġham-hā-e-nihānī dekhte jaao
bhaḌak uTThī hai sham-e-zindagānī dekhte jaao
chale bhī aao vo hai qabr-e-'fānī' dekhte jaao
tum apne marne vaale kī nishānī dekhte jaao
abhī kyā hai kisī din ḳhuuñ rulā degī ye ḳhāmoshī
zabān-e-hāl kī jādū-bayānī dekhte jaao
ġhurūr-e-husn kā sadqa koī jaatā hai duniyā se
kisī kī ḳhaak meñ miltī javānī dekhte jaao
udhar muñh pher kar kyā zab.h karte ho idhar dekho
mirī gardan pe ḳhanjar kī ravānī dekhte jaao
bahār-e-zindagī kā lutf dekhā aur dekhoge
kisī kā aish-e-marg-e-nā-gahānī dekhte jaao
sune jaate na the tum se mire din-rāt ke shikve
kafan sarkāo merī be-zabānī dekhte jaao
vo uTThā shor-e-mātam āḳhirī dīdār-e-mayyat par
ab uTThā chāhtī hai na.ash-e-'fānī' dekhte jaao
Top Urdushayar.com