Nazeer Akbarabadi

lawe KHatir mein hamare dil ko wo maghrur kya

Nazeer Akbarabadi

Delhi, India

1735-1830
laave ḳhātir meñ hamāre dil ko vo maġhrūr kyā
jis ke aage mahr kyā mah kyā parī kyā huur kyā
dil nayā ham ne lagāyā hai batā do mehrbāñ
us kī hai rah kyā ravish kyā rasm kyā dastūr kyā
yaad hoñ ayyāriyāñ jis ko bahut ham kyā kareñ
us ke aage makr kyā jul kyā fusūñ kyā zor kyā
yuuñ kahā ham leñge bosa ab to chhū kar zulf ko
bolā muñh kyā dast-gah kyā taab kyā maqdūr kyā
ham ko chāhat ek sī hai us parī-rū se 'nazīr'
rū-ba-rū kyā dur qafā kyā muttasil kyā duur kyā
Top Urdushayar.com