ham dekheñ kis din husn ai dil us rashk-e-parī kā dekheñge
vo qad vo kamar vo chashm vo lab vo zulf vo mukhḌā dekheñge
mat dekh butoñ kī abrū ko haT yaañ se tū ai dil varna tujhe
ek aan meñ bismil kar deñge aur aap tamāshā dekheñge
dil de kar ham ne aaj use hī dekhī sūrat tevrī kī
ye shakl rahī to ai hamdam kal dekheñ kyā kyā dekheñge
jab dekhī us kī chīn-e-jabīñ yuuñ ham ne 'nazīr' us but se kahā
ḳhair aap to ham se nā-ḳhush haiñ ab aur ko ham jā dekheñge
kyā lutf rahā is chāhat meñ jo ham chāheñ aur tum ho ḳhafā
ye baat sunī to vo chanchal yuuñ hañs kar bolā dekheñge