Nazeer Akbarabadi

nazar paDa ek but-e-pari-wash nirali saj-dhaj nai ada ka

Nazeer Akbarabadi

Delhi, India

1735-1830
nazar paḌā ik but-e-parī-vash nirālī saj-dhaj na.ī adā kā
jo umr dekho to das baras kī pe qahr o aafat ġhazab ḳhudā kā
jo ghar se nikle to ye qayāmat ki chalte chalte qadam qadam par
kisī ko Thokar kisī ko chhakkaḌ kisī ko gaalī nipaT laḌākā
gale lipaTne meñ yuuñ shitābī ki misl bijlī ke iztirābī
kahīñ jo chamkā chamak chamak kar kahīñ jo lapkā to phir jhapākā
ye chanchalāhaT ye chulbulāhaT ḳhabar na sar kī na tan kī sudh-budh
jo chīrā bikhrā balā se bikhrā na band bāñdhā kabhū qabā kā
laḌā de āñkheñ vo be-hijābī ki phir palak se palak na maare
nazar jo nīchī kare to goyā khilā sarāpā chaman hayā kā
ye raah chalne meñ chanchalāhaT ki dil kahīñ hai nazar kahīñ hai
kahāñ kā ūñchā kahāñ kā nīchā ḳhayāl kis ko qadam kī jā kā
ye rum ye nafrat ye duur khiñchnā ye nañg āshiq ke dekhne se
jo pattā khaTke havā se lag kar to samjhe khaTkā nigah ke pā kā
jatāve ulfat chaḌhāve abrū idhar lagāvaT udhar taġhāful
kare tabassum jhiḌak de har dam ravish haTīlī chalan daġhā kā
na vo sambhāle kisī ke sambhle na vo manā.e mane kisī se
jo qatl-e-āshiq pe aa ke machle to ġhair kā phir na āshnā kā
jo shakl dekho to bholī bholī jo bāteñ suniye to mīThī mīThī
dil aisā patthar ki sar aḌā de jo naam liije kisī vafā kā
'nazīr' haT jā pare sarak jā badal le sūrat chhupā le muñh ko
jo dekh levegā vo sitamgar to yaar hogā abhī jhaḌākā
Top Urdushayar.com