kyā nām-e-ḳhudā apnī bhī rusvā.ī hai kam-baḳht
rusvā.i-e-majnūñ bhī tamāshā.ī hai kam-baḳht
laḌne ko laḌe us se par ab karte haiñ afsos
afsos ajab apnī bhī dānā.ī hai kam-baḳht
ik baat bhī mil kar na kareñ us se ham ai charḳh
kyā tujh ko yahī baat pasand aa.ī hai kam-baḳht
hamdam to yahī kahte haiñ chal bazm meñ us kī
kyā kahiye use apnī jo ḳhud-rā.ī hai kam-baḳht
vo to nahīñ vāqif pa hamīñ dil meñ ḳhajil haiñ
kis muñh se kaheñ ham ne qasam khaa.ī hai kam-baḳht
yaaro hameñ taklīf na do sair-e-chaman kī
aane do balā se jo bahār aa.ī hai kam-baḳht
rahne do hameñ kunj-e-qafas meñ ki hamāre
qismat meñ yahī gosha-e-tanhā.ī hai kam-baḳht
is jām-e-nigūñ se mai-e-rāhat na talab kar
yaañ baada nahīñ bādiya-paimā.ī hai kam-baḳht
toḌe haiñ bahut shīsha-e-dil jis ne 'nazīr' aah
phir charḳh vahī gumbad-e-mīnā.ī hai kam-baḳht