Nazeer Akbarabadi

daman-o-kanar ashk se kab tar na hue aah

Nazeer Akbarabadi

Delhi, India

1735-1830
dāmān-o-kanār ashk se kab tar na hue aah
do chaar bhī aañsū mire gauhar na hue aah
jaise ki dil un lāla-azāroñ ke haiñ sañgīñ
dil chāhne vāloñ ke bhī patthar na hue aah
kahte haiñ ki niklā hai vo ab sair-e-chaman ko
kyā vaqt hai is vaqt mire par na hue aah
ḳhūbāñ ke to ham fidvī o banda bhī kahā.e
lekin vo hamāre na hue par na hue aah
kyā tafraqa hai jab ki ga.e ham to na thā vo
aur aayā vo ham paas to ham ghar na hue aah
kyā naqs hai us ġhairat-e-ḳhurshīd ke aage
ham la.al to kab hote haiñ aḳhgar na hue aah
dariyā bhī bahe mai ke par ai bāda-parastāñ
ye ḳhushk vo lab haiñ ki kabhī tar na hue aah
dekh us ko 'nazīr' ab mujhe aatā hai yahī rashk
kyuuñ ham bhī usī tarah ke dilbar na hue aah
Top Urdushayar.com